Wednesday, January 23, 2008


Meri kabr per tum mat ansoo bahana yaro
Mujhe khudkushi karna bhi doobhar hoga !
Khushi khushi laut ke ghar jao dosto -
Aaj dekh lena SENSEX phir oopar hoga !!

Thursday, January 10, 2008

Kucchh gham zamaane ne diye, kuchh mehboob ne
Hum ne sabhi ghamon ko seene mein chuppa liya !
Har pal zindagi ka guzar diya jise yaad kar ke
Usi bewafaa ne dekho kaise humein bhula diya !!

Shaayad !!

Hamari tou waise bhi aukat kucchh bhi nahin
Hum bhi shaayad yoon-hee ho jayenge barbad -
Tumko bhi to Ghalib logon ne pehchana tha
Tumhare guzar jaane ke baad !!

Tuesday, January 1, 2008

Apne aap mein simat kar raho, sirf kaam se rakho kaam
Jo tumhari parwah karta na ho use sirf door se salaam !

Kya bura hei is nazariye mein, shayad hee kuch kharabi ho
Jab saath nahin deta koi - akela chalne mein hee kaamyabi ho !!
Sooraj roz nikalta hei tou mera kya kasoor ?
Shaam hote hee khud-ba-khud dhall jayega !!
Mein parwah kis liye karoon- kalyug hei yeh
yahan per tou khota sikka bhi chal jayega !!
Naya saal shuru hua, mooh dhak kar soye raho
Aisa kya gazab hua, sapnon mein bas khoye raho !!
Duniya toe chalti rahegi, log paida honge - mar jayenge
Hum kaun itne khaas hein jo yaadgar bun jayenge !!
hasrat paalo hee kyon jab karna kuchh nahin hei
khao peeyo mast raho -- yeh nazariya bilkul sahi hei !!